Dharmik smasaya prachin kal se hi darshniko ke samaksh
chunotiyo ke rup me udhati rahi hai. Udahran ke tor per -
Eshawar, Aatma, Amrata, Moksh, Prathana, Puja-path,
Tarkbudhi, Aastha, Vishvas, Devi-prakasana, Rahasayanubhuti
aadi. Yah Pustak en samasyao ka ek boddhik samadhan prastut
karne ka prayas karti hai. Eske sath-sath kuch any samasyae,
jaise- Dharm kya hai? Kya dharm hi religion hai athva dharm
ewm religion me kuch bhedh hai? Dharm, religion ewm
aadhyatam ke bich kya sambandh hai? Kya vibhinn dharmo ke
bich samanjasy sthapit ho sakta hai? Sarva dharm sambhav kya
hai tatha eski sthapana kese sambhav hai? Dharmik parivartan
ka aadhar kya hai tatha yah khan tak uchit hai? Dharm ewm
vigyan ke bich kya sambandh hai?
En sabhi prashno per vistar se charcha karte hue yah pustak
pramukh aastha ewm tark ke antardwand ko patne ka prayas
karti hai. Dushre sabdon me, Yah dharm se sambandhit
samasyao ka boddhik athva tarkik smadhan prastut karne ka
prayas karti hai.