I L. Finar dwara likhit Carbanik Rasayan Vigyan, vol.1-mulbhut sidhant ko yadi aapni bhasa mein pada jaye to esse aachi bat ho hi nahin sakti. Hamari sikhsan pranali mein sabse badi kami yah hai ki aaj bhi vigyan ewm takniki vishyo ko padhane ewm samjhane ke liye English ka hi prayog kiya jata hai, parinamsawarup vidhyarthi ucch aank prapt karne ki aakanksha mein Vishay ki mul avdharnaoo ko samjhne ke bajay unko ratne hetu badhya ho jate hai.
Prayh yah dekha gya hai ki adhikansh vidyarthi skuli siksha uprant ya to cochin center ka shara lete hai ya vigyan vishyo ko chorkar aany Vishay apna lete hai. Yah challan yahi tak simit nahin hokar pratiyogi parikshao, jaise-Bhartiya prodhyogiki sansthan, Bhartiya prabandhan sansthan, Bhartiya prashasnik sewa ewm Bhartiya police sewa per bhi lagu hota hai. Apni bhasa mein yah gyan unuplabdh hone ke karan en parikshao ki taeyari hetu vidhyarthiyo ko adhik samay lag jata hai ewm wahi vidhyarthi jo English bhasa mein nipun hote hai wo en parikshao mein safal ho jate hai.