Aam logo ki badalti jarurto ne Internet ko pahle medium banaya aur phir use media me tabdil kar diya. Aaj eski rafter aapki soch se kam nahin hai, aur eska hona aapke liye es duniya me badlte paridishya se jude rahne ka ek sabse sashakt madhyam hai. Online Media ki es yatra ne aam jivan ko kafhi prabhavit kiya hai. Suchna pane ke liye ab entazaar nahin karna padta. Font ke chetra me unicod ki kranti ne kai samsyao ko khatm kar diya. Bhasai chetra me application ka ek nya sansar dekhne ko mil rha hai aur logo ki soch ko nya rup dene me juta hai. Twitter aur Facebook jaisi social site ek vishal samuh ko samwad ke liye munch pradan kar rhi hai.
Aap es pustak ke madhyam se suchna, khabar aur propaganda ke bich ka antar samjhe aur apni nijata ke durupyog  se bache. Sath hi es medium ko bhi samjhe ki yah aaj etna mahatvapurna kuan hai? Esse hamari nijata ko chunoti kuan mil rhi hai? Yah hamari suchna me sendh lagakar use bazaar ke hawale kuan kar rha hai? Hum sabhi es bazaar ke aadhin ho gaye hai ya phir hum aapne liye bazaar khudh teyar kar rhe hai aur dushro ko esme sarik hone ki dawat de rhe hai?