Yah Pustak Samajshastra ki vikas-yatra ki tatyatmak ganveshna ke madhyam se eski vertman dasha tatha bhavishya ki disha ka bodh karati hai. Samajshastra ke satahi gyan ko 'smajh' me parivartit karne ke liye Smajshastra ki vividh avadharnao aur sidhanto ko rochak tarike se bhartiya udharno ke dwara spast kiya hai. Samajshastra ke karya chetra ko janne ke liye yah pustak ek nimantran hai, un pathako ke liye jo ese padh kar yah jan payega ki Samajshastra kya hai aur kya nahi hai?
Pathako ko yah pata chalega ki Samajshastra ki bhasa kya hai? Aam bolchal me prayog me aane wale sabdh jaise-Samuh, Parivar, Vivah, Jati, Varg etyadi ko kis prakar pribhasit kar sunishchit earth diya gya hai. Samajshastriya vishlesan ko prabhavit karne wale vegyanik sodh ke terk ka puri pustak me anusaran kiya gya hai.