Kisi bhi rastra ki videsh niti mukhy rup se kuch sidhanto, hito ewm udeshyo ka samuh hota hai, jinke madhyam se wah rastra dusre rastro ke sath sambandh sthapit karke un sidhanto ki purti karne hetu karyrat rahta hai. Bhartiya Bhartiya swantantrata ki prapti ke bad yah hindi mein prakashit sarvpratham molik, susambandh ewm sastriya granth hai, jisme bhartiya videsh niti ke chah se bhi adhik dasko ka ati vyapak ewm smagra dristikon se adhyan kiya gya hai. Es rachna hetu samagri pramanik shroto se ekatrit karke vishyo ka vivechan alochnatmak ewm vishleshnatmak rup se saral ewm subodh seli mein prastut kiya gya hai. Pramanik aakdo ewm samkalin sabhi pahluo ke adhyan ke aadhar par esme sityudhotar yug mein hue badlavo par bhi gahan charcha prastut ki gai hai.